Skip to main content

Privacy Policy Page Kaise Banaye Blog Ke Liye

Aaj mai aapko batane jaa raha hu ki privacy policy page kya hai aur ise banana kya jaruri hai. Agar aap online ya offline koi business start karne jaa rahe hai to aapke site par yah page hona bahut jaruri hai.


Agar aap ek blogger hai to aapne ek baat notice ki hogi ki sabhi professional blogger ke paas apna ek privacy policy page hota hai.


How To make privacy policy page for blog


Agar aap nahi jante hai ki privacy policy page kaisa hota hai, samajhne ke liye mere blog ka privacy policy page dekhe.


Privacy Policy Page Kya Hai ?


Privacy policy page ek aisa page hota hai jisko sabhi professional blogger apne blog me lagate hai. Is page me blogger ki site ke baare kuchh jaankari hoti hai. Yah page reader ya visitor ko batlati hai ki blogger apne site par kya-kya information ko share karte hai aur we kin-kin advertisement ka use karte hai.


Yah page hamare site ko cookies se protect karti hai. Matlab yah ki agar koi visitor aapke privacy policy ke rules ko follow kiye bina koi galat comment karta hai to aap uske comment ko delete kar sakte hai.


Privacy Policy Page Banana Kyo Jaruri Hai ?


Google Terms and Condition ke anusaar aapke blog ka ek privacy policy page ka hona bahut jaruri hai kyoki agar aap apne blog par Google adsense ke ads ko lagana chahte hai to uske liye aapko yah page ko banana padega.


Agar aap bina privacy policy page ko banaye Google adsense ke liye apply karte hai to Google ki team aapke apply kiye gaye request ko accept nahi karegi aur aapke blog ka privacy policy page nahi hone ki wajah se disapprove kar degi.


Also Read :


  • Disclaimer Page कैसे बनाये Blog के लिए और यह क्यों जरुरी है ?

  • Blog के लिए Privacy Policy Page बनाने का सबसे आसान Method

Aur bhi bahut saari aisi company hai jo ki kisi bhi blog ke privacy policy page ko check karti hai.


Privacy Policy Page Ko Kaise Banaye ?


Privacy policy page ko banana bahut hi easy hai. Agar aapko privacy policy page ke baare me knowledge  hai to aap khud se bhi is page ko bana sakte hai.


Agar aapko privacy policy page ko banana nahi aata hai to aapko pareshan hone ki koi jarurat nahi hai. Kyoki bahut saare aise third party ke website hai jo aapke blog ke liye is page ko bana degi .


SerpRank ek third party ka website hai jo ki free me aapke privacy policy page ko bana degi. To ab mai aapko batana start karta hu ki kaise SerpRank ki help se privacy policy page ko apne blog ke liye banate hai.


Aap mere steps ko follow kare :-


Step 1


Sabse pahle aap SerpRank ki site par jaaye.


Step 2


Ab ek page open hoga. Usme login aur register ka option hoga. Agar aapka account SerpRank par pahle se bana hua hai to login par click kare nahi to register par.newfeatureblog.com privacy policy page register


Register par click kare.


Step 3


newfeatureblog privacy policySelect par click kare.


Step 4


Ab ek new page open hoga. Usme aapko apna naam, password aur email daalkar submit karna hai.
newfeatureblog.com privacy policy register with serprank.com


  1. Apna naam likhe.

  2. Password daale.

  3. Phir se wahi password daale.

  4. Apna email likhe.

  5. Confirm karne ke liye phir se wahi email ko likhe.

  6. ‘I agree to the Terms and Condition for Membership’ par tick kare.

  7. Submit and Confirm par click kare.

Step 5


Ab aapka account SerpRank par register ho chuka hai.


newfeatureblog.com serprank privacy policy page


View Your Membership Account par click kare.


Step 6


Ab aapka SerpRank account open ho jaayega. Page ko scroll down karke Member Tools Page par jaaye.


newfeatureblog.com privacy policy page create with serprank.com


Member Tools Page par click kare.


Step 7


Privacy Policy Generator for Google Adsense Publishers par click kare.
newfeatureblog.com privacy policy page create


Step 8


Ab aapke saamne ek form open hoga.


newfeatureblog.com create privacy policy page with serprank.com
newfeatureblog.com privacy policy page create


  1. Apna blog ya webstie ka URL name likhe.

  2. Apna Email address ko likhe.

  3. Agar aap cookies ka use karte hai to Yes , we use cookies ko select kare.

  4. Advertiser Information me Google Adsense par tick kare. Iske alave agar aap apne blog par koi aur bhi advertise ka use karna chahte hai to us par tick kare.

  5. Create my Privacy Policy par click kare.

Step 9


Ab aapke blog ya website ke liye privacy policy bankar ready hai.



Pure page ko copy kar le. Ab copy kiye hue privacy policy ko aapko apne blog me add karna hai.


Privacy Policy Page Ko Blog Me Kaise Add Kare ?


Privacy Policy Page ko blog me add karne ke liye aapko ek page create karni hogi aur usme copy kiye hue privacy policy ko paste karke publish karni padegi.


Step 1


Sabse pahle aap blogger ke dashboard me jaaye. Uske baad


newfeaturebog.com privacy setting


  1. Pages par click kare.

  2. New page par click kare.

Step 2


Ab page editor open hoga.


newfeatureblog.com privacy policy page blog me add kare


  1. Sabse pahle title me Privacy Policy likhe.

  2. Privacy policy ko aapne jo copy kiya tha usko body me paste kar de.

  3. Publish par click kare.

Ab aapka privacy policy page ban gaya hai. Ab is page ko aap ya to upar menu me add kare ya phir footer me add kare. Privacy policy page ko footer me add karne ka short tarika batlata hu.


blogger dashboard >> layout >> footer waala Add a Gadget >> pages >> Tick privacy policy >> save


Ab aap new browser me apne blog post ko open karke check kijiye ki footer me privacy policy page add hua hai yaa nahi.


Also Read :


  • Contact Form Page को Blogger में कैसे बनाते है ?

  • Blog या Website के लिए XML Sitemap कैसे Create करे ?

Agar aapko apne blog ke liye privacy policy page banane me koi bhi problem aati hai to mujhe comment kar ke bataye. Mai aapki problem ko dur karne ki puri koshish karuga.

Agar aapko yah pasand aaya ho to is post ko facebook, twitter, google + etc jaise social media par share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare.


The post Privacy Policy Page Kaise Banaye Blog Ke Liye appeared first on New Feature Blog.

Comments

Popular posts from this blog

Linkedin Par Apna Account Kaise Banaye

Linkedin aaj ke jamane me ek famous professional social networking sites hai. Linkedin par aapko kitne hi million users mil jayenge jinki madad se aap apne ideas, knowledge ko increase kar sakte hai. Is site par aapko kitne hi professional log milege. Agar aap unke saath business karna chahte hai to yah site aapki bahut help karegi. Yah site aapko job search karne me bhi help karegi. Jyadatar business karne wale log is site par apne business ka promotion ke liye advertising karte hai. Jis tarah se blog ya website ka advertising facebook, twitter etc. par kiya jaata hai, usi tarah se linkedin par bhi aap apne blog ya website ka advertise kar sakte hai aur apni site ya blog ki traffic increase kar sakte hai. Read Also : Facebook पर Account कैसे बनाये ? Facebook पर Single Name Kaise Set करे : Easy Trick Ab hum sidhe apne point par aate hai aur aapko batana start karte hai ki linkedin par...

Program Guidelines

Publishers participating in our program are bound by the terms and conditions available  at  http://www.media.net/legal/tos . In addition, all publishers must read and comply with the policies provided below. Media.net reserves the right to change the policies at any time without prior notice to the publisher. The publisher understands that it is their sole responsibility to keep themselves abreast of all policies available here. Media.net reserves the sole right to warn, or without notice, terminate any publisher that is found in violation of these policies. Media.net may make exceptions to any of these policies at their sole discretion. Program Guideline Our program is currently only open to website(s) with premium content that fulfill the criteria specified below: Contain significant amount of original content that is updated regularly and does not infringe any third party intellectual property rights Receive majority of their traffic from US / UK / Canada...

11 Attractive Fast Loading Email Subscription Widget Ko Apne Blog Me Lagaye

Email subscription kisi bhi blogger ke blog ya website ki traffic ko badhane me bahut hi important role nibhati hai. Maine apni pichhli post me iske baare me batlaya tha ki email subscribe box kya hai aur isko blog me kaise lagate hai. Jab koi visitor blogger ke blog par lagaye email subscribe box me apna email dalkar subscribe karta hai to us visitor ke email par ek activation message aata hai. Activation message me link hota hai. Link par click karte hi visitor ke email par free email delivery ki service activate ho jaati hai. Matlab ab agar blogger koi bhi new post publish karega to visitor ko new post ki jaankari direct email par mil jaayegi. Iske baad visitor post ko padhne ke liye blog par visit karega jisse ki blogger ki traffic increase hogi. Yah maine aapko short me iske important ke baare me batla diya. Ab hum sidhe apne point par aate hai. Maine niche 11 email subscription widget ko diya hai. Aapko jo widget pasand aaye usko aap apne blog me lagaye. Widget me aapko kuchh...